Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ai dil sada us sham ka parwana ho parwana ho

Wali Dakni

ai dil sada us sham ka parwana ho parwana ho

Wali Dakni

MORE BYWali Dakni

    ai dil sadā us sham' parvāna ho parvāna ho

    us nav bahār-e-husn dīvāna ho dīvāna ho

    merī taraf sāġhar ba-kaf aatā hai vo mast-e-hayā

    ai dil takalluf bartaraf mastāna ho mastāna ho

    jaarī rakhegā kab talak rasm-e-javā-o-jaur kuuñ

    ai mānī-e-har jān-o-dil jānāna ho jānāna ho

    is vaqt pītam nigah kartī hai mashq-e-dilbarī

    ye aan ġhaflat nahīñ farzāna ho farzāna ho

    'ālam meñ tujh kuuñ ai 'valī' hai fikr-e-jamī'at agar

    har dam ḳhayāl-e-yār suuñ ham-ḳhāna ho ham-ḳhāna ho

    ai dil sada us sham' ka parwana ho parwana ho

    us naw bahaar-e-husn ka diwana ho diwana ho

    meri taraf saghar ba-kaf aata hai wo mast-e-haya

    ai dil takalluf bartaraf mastana ho mastana ho

    jari rakhega kab talak rasm-e-jawa-o-jaur kun

    ai mani-e-har jaan-o-dil jaanana ho jaanana ho

    is waqt pitam ki nigah karti hai mashq-e-dilbari

    ye aan ghaflat ki nahin farzana ho farzana ho

    'alam mein tujh kun ai 'wali' hai fikr-e-jami'at agar

    har dam KHayal-e-yar sun ham-KHana ho ham-KHana ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now