ye sab tumhaara karam hai aaqa ki baat ab tak bani hui hai
ye sab tumhaara karam hai aaqa ki baat ab tak bani hui hai
Khalid Mahmood Naqshbandi
MORE BYKhalid Mahmood Naqshbandi
koī salīqa hai aarzū kā na bandagī merī bandagī hai
ye sab tumhārā karam hai aaqā ki baat ab tak banī huī hai
kisī kā ehsān kyuuñ uThā.eñ kisī ko hālāt kyuuñ batā.eñ
tumhīñ se māñgeñge tum hī doge tumhār dar se hī lau lagī hai
tajalliyoñ ke kafīl tum ho murād-e-qalb-e-ḳhalīl tum ho
ḳhudā kī raushan dalīl tum ho ye sab tumhārī hī raushnī hai
tumhīñ ho rūh-e-ravān-e-hastī sukūñ nazar kā diloñ kī mastī
hai do jahāñ kī bahār tum se tumhīñ se phūloñ meñ tāzgī hai
shu.ūr-o-fikr-o-nazar ke da.ave hadd-e-ta.ayyun se baḌh na paa.e
na chhū sake un bulandiyoñ ko jahāñ maqām-e-mohammadī hai
nazar nazar-e-rahmat sarāpā adā adā ġhairat masīhā
zamīr murda bhī jī uThe haiñ jidhar tumhārī nazar uThī hai
amal kī mere asaas kyā hai ba-juz nadāmat ke paas kyā hai
rahe salāmat tumhārī nisbat mirā to ik aasrā yahi hai
atā kiyā mujh ko dard-e-ulfat kahāñ thī ye pur-ḳhatā kī qismat
maiñ is karam ke kahāñ thā qābil huzūr kī banda-parvarī hai
unhī ke dar se ḳhudā milā hai unhīñ se us kā pata chalā hai
vo ā.īna jo ḳhudā-numā hai jamāl-e-husn-e-huzūr hī hai
bashīr kahiye nazīr kahiye unheñ sirāj-e-munīr kahiye
jo sar-basar hai kalām-e-rabbī vo mere aaqā kī zindagī hai
ham apne a.amāl jānte haiñ ham apnī nisbat se kuchh nahīñ haiñ
tumhār dar kī 'azīm nisbat matā-e-azmat banī huī hai
yahī hai ḳhālid asās-e-rahmat yahī hai ḳhālid banā-e-azmat
nabī kā irfān bandagī hai nabī kā irfān zindagī hai
koi saliqa hai aarzu ka na bandagi meri bandagi hai
ye sab tumhaara karam hai aaqa ki baat ab tak bani hui hai
kisi ka ehsan kyun uThaen kisi ko haalat kyun bataen
tumhin se mangenge tum hi doge tumhaar dar se hi lau lagi hai
tajalliyon ke kafil tum ho murad-e-qalb-e-KHalil tum ho
KHuda ki raushan dalil tum ho ye sab tumhaari hi raushni hai
tumhin ho ruh-e-rawan-e-hasti sukun nazar ka dilon ki masti
hai do jahan ki bahaar tum se tumhin se phulon mein tazgi hai
shuur-o-fikr-o-nazar ke dawe hadd-e-tayyun se baDh na pae
na chhu sake un bulandiyon ko jahan maqam-e-mohammadi hai
nazar nazar-e-rahmat sarapa ada ada ghairat masiha
zamir murda bhi ji uThe hain jidhar tumhaari nazar uThi hai
amal ki mere asas kya hai ba-juz nadamat ke pas kya hai
rahe salamat tumhaari nisbat mera to ek aasra yahi hai
ata kiya mujh ko dard-e-ulfat kahan thi ye pur-KHata ki qismat
main is karam ke kahan tha qabil huzur ki banda-parwari hai
unhi ke dar se KHuda mila hai unhin se us ka pata chala hai
wo aaina jo KHuda-numa hai jamal-e-husn-e-huzur hi hai
bashir kahiye nazir kahiye unhen siraj-e-munir kahiye
jo sar-basar hai kalam-e-rabbi wo mere aaqa ki zindagi hai
hum apne aamal jaante hain hum apni nisbat se kuchh nahin hain
tumhaar dar ki 'azim nisbat mata-e-azmat bani hui hai
yahi hai KHalid asas-e-rahmat yahi hai KHalid bana-e-azmat
nabi ka irfan bandagi hai nabi ka irfan zindagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.