Sufinama

bachae ahl-e-hawas ko KHuda mohabbat se

Zaheen Shah Taji

bachae ahl-e-hawas ko KHuda mohabbat se

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    bachā.e ahl-e-havas ko ḳhudā mohabbat se

    ki kam nahīñ hai mohabbat kabhī qiyāmat se

    mohabbat aur mohabbat bhī taaj aalam

    mohabbat aur kHilāf-e-mizāj a.alam

    jo mā-sivā se gurezāñ ho aas se kyā ulfat

    ḳhudā se ġhair-e-ḳhudā ko batāo kyā nisbat

    junūn-e-ishq se aql-o-ḳhirad naam nahīñ

    ġharaz ke bandoñ ko zāt-e-samad se kaam nahīñ

    ye dekhte ho ki hai aib hai ye aib hai ye

    ḳhatā muaaf mohabbat nahīñ fareb hai ye

    mohabbat aur mohabbat huzūr baabā

    ġharaz be-adabī hai havas be-bākī

    badan pe taar bhī duniyā baar hotā hai

    vo taaj diin mohabbat shi.ār hotā hai

    adab yahī hai mohabbat koī naam na le

    ye Dar hai ishq havas se kuchh intiqām na le

    bachae ahl-e-hawas ko KHuda mohabbat se

    ki kam nahin hai mohabbat kabhi qiyamat se

    mohabbat aur mohabbat bhi taj aalam ki

    mohabbat aur kHilaf-e-mizaj aalam ki

    jo ma-siwa se gurezan ho aas se kya ulfat

    KHuda se ghair-e-KHuda ko batao kya nisbat

    junun-e-ishq se aql-o-KHirad ka nam nahin

    gharaz ke bandon ko zat-e-samad se kaam nahin

    ye dekhte ho ki hai aib hai ye aib hai ye

    KHata muaf mohabbat nahin fareb hai ye

    mohabbat aur mohabbat huzur baba ki

    gharaz ki be-adabi hai hawas ki be-baki

    badan pe tar bhi duniya ka bar hota hai

    wo taj din mohabbat shiar hota hai

    adab yahi hai mohabbat ka koi nam na le

    ye Dar hai ishq hawas se kuchh intiqam na le

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now