insan kya hai insan hi hai
insān kyā hai insān hī hai
ḳhud āgahī kyā haq āgahī hai
ā.īna apnā sūrat bhī apnī
sūrat garī sī sūrat garī hai
mumkin kahāñ hai vājib kā ham-sar
mohtāj bande maulā ġhanī hai
farq-e-marātib hai abd-o-rab meñ
tark-e-adab hī ḳhud gumrahī hai
irfān-e-zāt-e-haq mumtana.a hai
allāhu-akbar kyā bartarī hai
ain-e-sifat hai zāt-e-ilāhī
allāh hī thā allāh hī hai
insan kya hai insan hi hai
KHud aagahi kya haq aagahi hai
aaina apna surat bhi apni
surat gari si surat gari hai
mumkin kahan hai wajib ka ham-sar
mohtaj bande maula ghani hai
farq-e-maraatib hai abd-o-rab mein
tark-e-adab hi KHud gumrahi hai
irfan-e-zat-e-haq mumtana hai
allahu-akbar kya bartari hai
ain-e-sifat hai zat-e-ilahi
allah hi tha allah hi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.