baja hai KHuda ki ibaadat hai farz
bajā hai ḳhudā kī ibādat hai farz
magar sab se pahle mohabbat hai farz
karāmat faqat tark-e-'ādat nahīñ
huī tark aadat to aadat hai farz
na ho ālam-e-dil jo bazm-e-nazar
nihāñ-ḳhāna-e-dil meñ ḳhalvat hai farz
musībat meñ dene tasallī vo aa.eñ
to phir iktisāb-e-musībat hai farz
sanam qibla ho to yaqīnan qubūl
jo sajda barū-e-sharī.at hai farz
butoñ ko ujāgar kareñ ham 'zahīn'
agar inkishāf-e-haqīqat hai farz
baja hai KHuda ki ibaadat hai farz
magar sab se pahle mohabbat hai farz
karamat faqat tark-e-'adat nahin
hui tark aadat to aadat hai farz
na ho aalam-e-dil jo bazm-e-nazar
nihan-KHana-e-dil mein KHalwat hai farz
musibat mein dene tasalli wo aaen
to phir iktisab-e-musibat hai farz
sanam qibla ho to yaqinan qubul
jo sajda baru-e-shariat hai farz
buton ko ujagar karen hum 'zahin'
agar inkishaf-e-haqiqat hai farz
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.