Sufinama

karam-e-pir-e-mughan aam hai mai-KHane mein

Zaheen Shah Taji

karam-e-pir-e-mughan aam hai mai-KHane mein

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    karam-e-pīr-e-muġhāñ 'aam hai mai-ḳhāne meñ

    do-jahāñ ek chhalakte hue paimāne meñ

    kal jo maiñ kahtā thā saaqī tire mai-ḳhāne meñ

    ik vahī lafz hai mansūr ke afsāne meñ

    hosh meñ bhī nahīñ aur hosh se bāhar bhī nahīñ

    kaun baat hai āḳhir tire dīvāne meñ

    hastī-e-dahr hai mauqūf mirī hastī par

    sau qiyāmat haiñ nihāñ ik mire miT jaane meñ

    zauq-e-takmīl hai ġhālib ġham-e-barbādī par

    ek lutf aatā hai ban ban ke bigaḌ jaane meñ

    nahīñ asnām to kyā rah gayā kā'be meñ 'zahīn'

    ham to kā'be ko uThā laa.e sanam-ḳhāne meñ

    karam-e-pir-e-mughan 'am hai mai-KHane mein

    do-jahan ek chhalakte hue paimane mein

    kal jo main kahta tha saqi tere mai-KHane mein

    ek wahi lafz hai mansur ke afsane mein

    hosh mein bhi nahin aur hosh se bahar bhi nahin

    kaun si baat hai aaKHir tere diwane mein

    hasti-e-dahr hai mauquf meri hasti par

    sau qiyamat hain nihan ek mere miT jaane mein

    zauq-e-takmil hai ghaalib gham-e-barbaadi par

    ek lutf aata hai ban ban ke bigaD jaane mein

    nahin asnam to kya rah gaya ka'be mein 'zahin'

    hum to ka'be ko uTha lae sanam-KHane mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now