ab merii nigaaho.n me.n to jachtaa nahii.n ko.ii

Khalid Mahmood Naqshbandi
MORE BYKhalid Mahmood Naqshbandi
ab merii nigaaho.n me.n to jachtaa nahii.n ko.ii
jaise mire sarkaar hai aisaa nahii.n ko.ii
tum-saa to hasii.n aa.nkh ne dekhaa nahii.n ko.ii
ye shaan-e-lataafat hai ki saaya nahii.n ko.ii
ye to meraa iimaan hai ai rahmat-e-’aalam
fariyaad tumhaare sivaa suntaa nahii.n ko.ii
ai zarf-e-nazar dekh magar dekh adab se
sarkaar kaa jalva hai tamaashaa nahii.n ko.ii
ye tuur se kahtii hai abhii tak shab-e-me'araaj
diidaar kii taaqat ho to parvaa nahii.n ko.ii
vo aa.nkh jo rotii hai Gam-e-'ishq-e-nabii me.n
is aa.nkh se ruu-posh to jalva nahii.n ko.ii
socho to kabhii nisbat-e-rahmat ke nataa.ej
tasliim ki ham logo.n me.n achchhaa nahii.n ko.ii
shamshiir vasiila hai sipar rahmat-e-haq hai
sarkaar kii ummat me.n nihattaa nahii.n ko.ii
be-kaar hai par vaar tiraa gardish-e-dauraa.n
vo hamdam-o-Gam-kHvaar hai.n tanhaa nahii.n ko.ii
e’jaaz ye haasil hai to haasil hai zamii.n ko
aflaak pe to gumbad-e-kHazraa nahii.n ko.ii
hotaa hai jahaa.n zikr mohammad ke karam kaa
is bazm me.n mahruum-e-tamannaa nahii.n ko.ii
darmaan-e-Gam-o-dard-o-shifaa-e-dil-e-biimaar
juz aap ke use jaan-e-masiihaa nahii.n ko.ii
sarkaar kii rahmat ne kHuub navaazaa hai
ye sach hai ki 'KHaalid' saa nikammaa nahii.n ko.ii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.