saaGar ba-kaf hai baada-gusaar-e-abul-ola
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت سیدنا امیر ابوالعلا
saaGar ba-kaf hai baada-gusaar-e-abul-ola
barsegaa abr-e-faiz-e-nigaar-e-abul-ola
hai jaan aagara kii nisaar-e-abul-ola
aur jaan-e-aagara hai mazaar-e-abul-ola
is gulsitaan-e-ishq kii shaadaabiyaa.n na puuchh
jannat hai ek aks-e-bahaar-e-abul-ola
sargashta-e-valaa hai to is baargah me.n aa
hai auliyaa-e-haq me.n shumaar-e-abul-ola
yaa-rab uluu nasiib ho merii jabiin-e-ijz
ye sar ho aur sa.ng-e-mazaar-e-abul-ola
phailaa hu.aa hai rishta-e-tauhiid arsh tak
hai.n taa.iraan-e-quds shikaar-e-abul-ola
nashsha jise hu.aa na abad tak utar sakaa
ik kaif-e-sarmadii hai KHumaar-e-abul-ola
qibla-numaa kii hai tujhe ai kaj-nazar talaash
qibla-numaa hai dekh mazaar-e-abul-ola
Thukraa diyaa hukuumat-e-shaahii ko faqr se
allaah re 'uluu-e-shi.aar-e-abul-ola
zarro.n me.n KHaak-e-paa ke hai.n shaane.n suhail kii
arsh alaa se puuchh vaqaar abul-ola
yaa-rab ho is pe chashm-e-karam sadqa-e-amiir
'siimaab' hai Gariib-e-dayaar-e-abul-ola

- Book : Anwar-ul-Ola (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.