Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

shahiid-e-karbalaa kii momino jab yaad aatī hai

Purnam Allahabadi

Interesting Fact

مناقب در شان حضرت امام حسین (کربلا-عراق)

yaa husain yaa husain yaa husain yaa husain

shahiid-e-karbalaa kii momino jab yaad aatī hai

ta.Dap jaatii hai duniyaa KHuun ke aa.nsuu bahaatii hai

sajde me.n sar kaTaane ko aakar kaTaa diyaa

lekin KHudaa ke naam kaa Da.nkaa bajaa diyaa

diid kii gar talaash hai sar ko jhukaa namaaz me.n

dil se KHudii ko duur kar KHud ko miTaa namaaz me.n

aa.egaa tujh ko jab nazar ruuh-e-kHudaa namaaz me.n

pahle husain kii tarah sar ko kaTaa namaaz me.n

kis kii majaal ai husain kis kii ho tujh se ham-sarii

baap ke ghar imaamate.n naanaa ke ghar payambarii

shakl-e-husain dekh kar haq bhii kahegaa hashr me.n

ai mire mustafaa ke laal ummat-e-mustafaa barii

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Purnam (Pg. 186)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now