Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sab se ba.Dii yahii to faziilat ’alii kii hai

Umar Layeeq Hussaini

MORE BYUmar Layeeq Hussaini

    Interesting Fact

    منقبت در شان حضرت علی مرتضیٰ (نجف-عراق)

    sab se ba.Dii yahii to faziilat ’alii kii hai

    siirat jo hai nabii kii vo siirat 'alii kii hai

    jis 'ilm ke husuul se bantaa hai aadmii

    is ke liye hamesha visaatat 'alii kii hai

    us ko to saahibaan-e-nazar hii puuchhiye

    kis darja be-misaal futuvvat 'alii kii hai

    taariikii-e-lahad kaa nahii.n ko.ii daGdaGa

    raushan jo dil me.n sham'-e-mohabbat 'alii kii hai

    roz-e-jazaa kii fikr se kyaa us ko vaasta

    haasil jise azal se ma'iyyat 'alii kii hai

    be-shub.h kaT rahii hai 'ibaadat me.n zindagii

    jab tak nigaah-e-shauq me.n suurat 'alii kii hai

    jo 'aashiq-e-rasuul hai vo 'aashiq-e-'alii hai

    hubb-e-nabii ke saath mohabbat 'alii kii hai

    mu.nh se nikal hii jaataa hai mushkil me.n yaa 'alii

    har daur me.n jahaa.n ko zaruurat 'alii kii hai

    maulaa hamaare kis ke nahii.n muqtadaa 'la.iiq’

    har ek silsila me.n imaamat 'alii kii hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now