allaah allaah azmat-e-sarkaar taaj-ul-auliyaa
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت بابا تاج الدین ناگوری (ناگور۔راجستھان)
allaah allaah azmat-e-sarkaar taaj-ul-auliyaa
hai.n zamiin-o-aasmaa.n darbaar taaj-ul-auliyaa
kanz-e-maKHfii hai sar-e-baazaar taaj-ul-auliyaa
hai zuhuur-e-zaat-e-haq iz.haar taaj-ul-auliyaa
fil-haqiiqat dasht-e-aiman dasht-e-taajaabaad hai
tuur-e-paikar hai.n dar-o-diivaar taaj-ul-auliyaa
hai vahii aazaad do aalam jo hai in kaa ai sair
hai masiihaa-e-zamaa.n biimaar-e-taaj-ul-auliyaa
nuur-e-zulmat ke evaz isyaa.n ke badle maGfirat
allaah allaah garmii-e-baazaar taaj-ul-auliyaa
hai 'zahiin' apnaa pata kHum-kHaana-e-tauhiid me.n
mast taaj-ul-auliyaa sarshaar taaj-ul-auliyaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.