Font by Mehr Nastaliq Web

bahaar-e-basant

Chandar Bhan Kaifi Dehlvi

bahaar-e-basant

Chandar Bhan Kaifi Dehlvi

MORE BYChandar Bhan Kaifi Dehlvi

    mausam bahaar kaa hai zamaana basant kaa

    bulbul sunaa rahaa hai taraana basant kaa

    'unvaa.n na.e na.e hai.n chaman me.n bahaar ke

    gul kaa varaq-varaq hai fasaana basant kaa

    Guncho.n kii muTThiyaa.n hai.n jo zar se bharii hu.ii

    gulchii.n luTaa rahaa hai KHazaana basant kaa

    saaGar ba-kaf chaman me.n hai.n phuulo.n kii Daaliyaa.n

    piine ko mil gayaa hai bahaana basant kaa

    gulzaar me.n bahaar ba-daaman hai har hasii.n

    rashk-e-iram hai aa.iinaa-kHaana basant kaa

    sumbul kii kakulo.n kaa sulajhnaa muhaal thaa

    baad-e-bahaar ban ga.ii mahsaama basant kaa

    sarso.n ke phuul khil ga.e kheto.n me.n jaa-bajaa

    ik KHirman-e-muraad hai daana basant kaa

    Tesuu pe bahaar gulo.n par nikhaar hai

    hai ab chaman chaman me.n Thikaana basant kaa

    tishna-labo.n ke haal pe terii nazar nahii.n

    kyaa saaqiyaa basant kii tujh ko KHabar nahii.n

    sardii kii rafta-rafta javaanii hii Dhal rahii

    hai barf kohsaar ke sar se pighal rahii

    lutf-e-bahaar kyuu.n na ho mausam hai mo'tadil

    sau-sau tarah uma.ng hai dil me.n machal rahii

    ik jumbish-e-nazar se hai naira.ng-e-inqilaab

    duniyaa-e-husn-o-’ishq hai karvaT badal rahii

    saaqii kii chashm-e-mast ke andaaz dekh kar

    shiishe kii kanTaro.n me.n hai sahbaa uchhal rahii

    kis naaz se sabza-e-begaana KHvaab me.n

    baad-e-bahaar sahn-e-chaman me.n hai chal rahii

    baad-e-sabaa kii laGzish mastaana dekhiye

    gir kar ravish-ravish pe hai kyaa-kyaa sambhal rahii

    khil-khil ke har kalii se nikaltii hai buu-e-naaz

    yaa naa-muraad dil kii hai hasrat nikal rahii

    garmii se husn kii ruKH-e-gul hai 'araq 'araq

    us par nasiim-e-naaz se pa.nkhaa hai jhal rahii

    'kaifii' ruto.n me.n raaj ritu hai basant kii

    har shoKH har shajar me.n numuu hai basant kii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now