Font by Mehr Nastaliq Web

kartaa hai baaG-e-dahr me.n naira.ngiyaa.n basant

Muneer Shikohabadi

MORE BYMuneer Shikohabadi

    kartaa hai baaG-e-dahr me.n naira.ngiyaa.n basant

    aayaa hai laakh ra.ng se ai baaGbaa.n basant

    ham-ra.ng kii hai duun nikal ashrafii ke saath

    paataa hai aa ke ra.ng-e-talaa.ii yahaa.n basant

    joban par un dino.n hai bahaar-e-nashaat-e-baaG

    letaa hai phuul bhar ke yahaa.n jholiyaa.n basant

    muubaaf zard ra.ng hai sumbul kii choT me.n

    khotaa hai buu-e-gul kii pareshaaniyaa.n basant

    navvaab-e-naam-daar ‘zafar-ja.ng’ ke huzuur

    gaatii hai aa ke zohra-e-garduu.n-makaa.n basant

    jaam-e-'aqiiq zard hai nargis ke haath me.n

    taqsiim kar rahaa hai mai-e-arGavaa.n basant

    hote hai.n taa.iraan-e-chaman nargisii kabaab

    kah do ki is qadar na kare garmiyaa.n basant

    chehre tamaam zard hai.n daulat ke ra.ng se

    koThii me.n ho gayaa hai saraapaa 'ayaa.n basant

    niilaa hu.aa hai mu.nh gul-e-sausan kaa baaG me.n

    letaa hai iKHtilaat me.n kyaa chuTkiyaa.n basant

    ka.Dve dhare hue hai.n jo navvaab ke huzuur

    baahar hai apne jaame se ai baaGbaa.n basant

    pokhraaj ke gilaaso.n me.n hai laala-guu.n sharaab

    sone kaa paanii pii ke hai ratab-ul-lisaa.n basant

    sarso.n jo phuulii diida-e-jaam-e-sharaab me.n

    bint-ul’inab se karne lagaa shoKHiyaa.n basant

    zer-e-qadam hai farsh-e-basantii huzuur ke

    masruuf paa-e-bos me.n hai har zamaa.n basant

    mai.n gard-posh ho ke banaa shaaKH-e-za.afaraa.n

    lipTaa hu.aa hai mere badan se yahaa.n basant

    kartaa huu.n ab tamaam du'aa par ye chand she'r

    aayaa pasand majma’-e-ahl-e-zamaa.n basant

    jab tak ki mahv-e-qahqaha huu.n gul-hazaar me.n

    ra.ngiin taar hai sifat-e-za.afaraa.n basant

    yaa-rab hazaar saal salaamat rahe.n huzuur

    ho roz jashn-e-’iid yahaa.n jaavedaa.n basant

    ahbaab surKH-ruu rahe.n dushman ho.n zard-ruu

    jab tak manaa.e.n mardum-e-hindostaa.n basant

    zardii kii tarah baiza-e-bulbul me.n chhup rahe

    is baaG se na jaa.e miyaan-e-KHizaa.n basant

    taqdiir me.n thii furqat-e-yaaraan-e-lucknow

    is shahr me.n 'muniir' kahaa.n thaa kahaa.n basant

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now