aayo basant birahaa ke panth me.n
aayo basant birahaa ke panth me.n
phuul rahii hai phulvaarii re
kaah karuu.n kuchh ban nahii.n aavat
tan man apnaa mai.n haarii re
a.nkhiyan morii barso.n hai phuulii
haarii ka.nth kii me.n jaarii re
piyaa milan ke ye Dha.ng hai.n logo
apne piiran kii balihaarii re
birahaa bithaa kii mai.n maarii marat huu.n
sayyaa.n bha.e banvaarii re
kahat 'KHaadim' apne safii suu.n
'alii aur nabii kii rakhvaarii re
aayo basant birahaa ke panth me.n
phuul rahii hai phulvaarii re
kaah karuu.n kuchh ban nahii.n aavat
tan man apnaa mai.n haarii re
a.nkhiyan morii barso.n hai phuulii
haarii ka.nth kii me.n jaarii re
piyaa milan ke ye Dha.ng hai.n logo
apne piiran kii balihaarii re
birahaa bithaa kii mai.n maarii marat huu.n
sayyaa.n bha.e banvaarii re
kahat 'KHaadim' apne safii suu.n
'alii aur nabii kii rakhvaarii re
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.