Font by Mehr Nastaliq Web

phir is andaaz se bahaar aa.ii

Mirza Ghalib

phir is andaaz se bahaar aa.ii

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    phir is andaaz se bahaar aa.ii

    ki hu.e mehr-o-mah tamaashaa.ii

    dekho ai saakinaan-e-KHitta-e-KHaak

    is ko kahte hai.n ’aalam-aaraa.ii

    ki zamii.n ho ga.ii hai sar-taa-sar

    ruu-kash-e-sat.h-e-charKH-e-miinaa.ii

    sabza ko jab kahii.n jagah na milii

    ban gayaa ruu-e-aab par kaa.ii

    sabza-o-gul ke dekhne ke liye

    chashm-e-nargis ko dii hai biinaa.ii

    hai havaa me.n sharaab kii taasiir

    baada-noshii hai baada-paimaa.ii

    kyuu.n na duniyaa ko ho KHushii 'Gaalib'

    shaah-e-dii.n-daar ne shifaa paa.ii

    phir is andaaz se bahaar aa.ii

    ki hu.e mehr-o-mah tamaashaa.ii

    dekho ai saakinaan-e-KHitta-e-KHaak

    is ko kahte hai.n ’aalam-aaraa.ii

    ki zamii.n ho ga.ii hai sar-taa-sar

    ruu-kash-e-sat.h-e-charKH-e-miinaa.ii

    sabza ko jab kahii.n jagah na milii

    ban gayaa ruu-e-aab par kaa.ii

    sabza-o-gul ke dekhne ke liye

    chashm-e-nargis ko dii hai biinaa.ii

    hai havaa me.n sharaab kii taasiir

    baada-noshii hai baada-paimaa.ii

    kyuu.n na duniyaa ko ho KHushii 'Gaalib'

    shaah-e-dii.n-daar ne shifaa paa.ii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now