kar ke basantii libaas sab se baras din ke din

yaar milaa aan kar ham se baras din ke din
khet pe sarso.n ke jaa jaam suraahii ma.ngaa
dil kii nikaalii miyaa.n ham ne havas din ke din
sab kii nigaaho.n me.n dii 'aish kii sarso.n khilaa
saaqii ne kyaa hii liyaa vaah ye jis din ke din
KHalq me.n shor-e-basant yuu.n to bahut din se thaa
ham ne to luuTii bahaar 'aish kii bas din ke din
aage to phirtaa rahaa Gairo.n me.n ho zard-posh
ham se milaa par vo shoKH khaa ke taras din ke din
garche ye tyauhaar kii pahlii KHushii hai ziyaad
'ain jo ras hai so vo nikle hai ras din ke din
lauTegaa phir saal bhar gul-badano.n kii bahaar
yaar se mil le 'naziir' aaj baras din ke din

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.