dekho sakhi ri jagat baurana
dekho sakhī rī jagat baurānā
apnī sūrat par aapī lubhānā
mullā-o-qāzī paḌh-paḌh bhūle
par kī kahī ko.ū apnī na jaanā
parghaT bhayo ahmad kahlāyo
hai aapī ahad mo se karat bahānā
hari hari kar ke har ko.ū japat hai
hari maan dekho hari aapī samānā
aapī lailā aapī hai majnūñ
apnī sūrat par hai aapī dīvānā
aap hī 'mansūr' aapī anal-haq
aapī chaḌhā suulī ho mastāna
aap hī sā.īñ hai aap hī sādhū
aap hī ho panDit kathā bakhānā
aap hī ġhaus hai aapī qutub hai
aap hī hari ik maan samānā
aap hī saaqī aap hī sāġhar
aap hī piyave sau mastāna
'abr' kaheñ miyāñ vahī misal hai
god meñ laḌkā DhūñDhe zamāna
dekho sakhi ri jagat baurana
apni surat par aapi lubhana
mulla-o-qazi paDh-paDh bhule
par ki kahi kou apni na jaana
parghaT bhayo ahmad kahlayo
hai aapi ahad mo se karat bahana
hari hari kar ke har kou japat hai
hari man dekho hari aapi samana
aapi laila aapi hai majnun
apni surat par hai aapi diwana
aap hi 'mansur' aapi anal-haq
aapi chaDha suli ho mastana
aap hi sain hai aap hi sadhu
aap hi ho panDit katha bakhana
aap hi ghaus hai aapi qutub hai
aap hi hari ek man samana
aap hi saqi aap hi saghar
aap hi piyawe sau mastana
'abr' kahen miyan wahi misal hai
god mein laDka DhunDhe zamana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.