kaun KHata mo se bhai piya ek bar sanam tu bhula re
kaun ḳhatā mo se bha.ī piyā ek baar sanam tū bhūlā re
toñhre rūThe ḳhalq sab rūThā ḳhvesh kuTum muñh moḌā re
kā se kahūñ dukh apnā sakhī maiñ hari bin kaun hare dukh morā re
daulat ho to sab koī bāñTe dukh baañT sake na thoḌā re
har koī rūThe harī na rūTho bintī karat huuñ torā re
toñhre rūThe kā gat huī jo huī so thoḌā re
piyā toñhre kāran jog līyūñ maiñ ḳhvesh kuTum sab chhoḌā re
jogan ban ke ban-ban DhūñDhuñ kahāñ basiyo piyā morā re
añg bhabūt gale marg chhālā haath meñ le ke maalā re
hari hari kar ke hari maiñ DhūñDhuñ pā.ūñ hari meñ darshan torā re
aam kī Daar koiliyā bole bin biich bolat morā re
aadhī raat papihrā bole mohe jaan paḌe piyā morā re
jaan maal sab us par vaarā zan farzand tak vaarā re
jaake kāran jog līyūñ maiñ vo sudh nahīñ levat morā re
'abr' kī nayyā bhañvar meñ Duube na koī ḳhevan-hārā re
bojh gunah se Duub chalī piyā karo madat aa morā re
kaun KHata mo se bhai piya ek bar sanam tu bhula re
tonhre ruThe KHalq sab ruTha KHwesh kuTum munh moDa re
ka se kahun dukh apna sakhi main hari bin kaun hare dukh mora re
daulat ho to sab koi banTe dukh banT sake na thoDa re
har koi ruThe hari na ruTho binti karat hun tora re
tonhre ruThe ka gat hui jo hui so thoDa re
piya tonhre karan jog liyun main KHwesh kuTum sab chhoDa re
jogan ban ke ban-ban DhunDhun kahan basiyo piya mora re
ang bhabut gale marg chhaala hath mein le ke mala re
hari hari kar ke hari main DhunDhun paun hari mein darshan tora re
aam ki Dar koiliya bole bin bich bolat mora re
aadhi raat papihra bole mohe jaan paDe piya mora re
jaan mal sab us par wara zan farzand tak wara re
jake karan jog liyun main wo sudh nahin lewat mora re
'abr' ki nayya bhanwar mein Dube na koi KHewan-haara re
bojh gunah se Dub chali piya karo madat aa mora re
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.