man-mohan hai yar hamara
man-mohan hai yaar hamārā
us pe fidā ghar-bār hamārā
laag lagī hai aag lagī hai
jiinā hai dushvār hamārā
haaye vo sañgīñ dil hañstā hai
sun kar hāl-e-zār hamārā
apne piyā kī lagan lagī hai
shauq se dil sarshār hamārā
jagat gaurav hai ḳhevan-hārā
beḌā kyuuñ na ho paar hamārā
jiine kī phir aas ho kyuuñ kar
duur ho jab dildār hamārā
itrā.eñ ham kyuuñ na 'hasrat'
dil meñ basā hai yaar hamārā
man-mohan hai yar hamara
us pe fida ghar-bar hamara
lag lagi hai aag lagi hai
jina hai dushwar hamara
haye wo sangin dil hansta hai
sun kar haal-e-zar hamara
apne piya ki lagan lagi hai
shauq se dil sarshaar hamara
jagat gauraw hai KHewan-haara
beDa kyun na ho par hamara
jine ki phir aas ho kyun kar
dur ho jab dildar hamara
itraen hum kyun na 'hasrat'
dil mein basa hai yar hamara
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 394)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.