Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

par parghaT bhae nam mohammad

Aminuddin Warsi

par parghaT bhae nam mohammad

Aminuddin Warsi

MORE BYAminuddin Warsi

    par parghaT bha.e naam mohammad

    raam bha.e bis-rām mohammad

    charitra chitar chaterā albelā

    achraj sir sarnām mohammad

    liilā liilā ramhā gun aagar

    gar kartā rachyo naam mohammad

    nuur jahūr chhabai chhab chhājā

    birhi japai jap naam mohammad

    as ujiyār aayo jag jodhā

    syaam uujal dīnhyo raam mohammad

    nashT kanashT Duube jal sāgar

    daam bha.e har-nām mohammad

    ruup surūp ujiyāgar jāgar

    prem basat har kaam mohammad

    chitai chitai parlok paThāva

    jugai jugai bhayo naam mohammad

    duut duut mil siis navāvā

    ruch rachnā ruch baam mohammad

    bhes rachyo rachnār anokhā

    jog bhayo bhar jaam mohammad

    taar taar kartār banāvā

    daras daras jag dhaam mohammad

    sab se pahal sat bhā autārā

    rachnā rachā ruch kaam mohammad

    sab pirthamī banavār banāvā

    kalī phuul bhaj naam mohammad

    jin chinhiyā ujiyār ujāgar

    har har har naam mohammad

    'amīnuddīn' vāris ras bhāgan

    paayo sirī sarnām mohammad

    par parghaT bhae nam mohammad

    ram bhae bis-ram mohammad

    charitra chitar chatera albela

    achraj sir sarnam mohammad

    lila lila ramha gun aagar

    gar karta rachyo nam mohammad

    nur jahur chhabai chhab chhaja

    birhi japai jap nam mohammad

    as ujiyar aayo jag jodha

    syam ujal dinhyo ram mohammad

    nashT kanashT Dube jal sagar

    dam bhae har-nam mohammad

    rup surup ujiyagar jagar

    prem basat har kaam mohammad

    chitai chitai parlok paThawa

    jugai jugai bhayo nam mohammad

    dut dut mil sis nawawa

    ruch rachna ruch baam mohammad

    bhes rachyo rachnar anokha

    jog bhayo bhar jam mohammad

    tar tar kartar banawa

    daras daras jag dham mohammad

    sab se pahal sat bha autara

    rachna racha ruch kaam mohammad

    sab pirthami banawar banawa

    kali phul bhaj nam mohammad

    jin chinhiya ujiyar ujagar

    har har ma har nam mohammad

    'aminuddin' waris ras bhagan

    payo siri sarnam mohammad

    Source :
    • Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 240)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now