har taraf se mujhe kHushbuu-e-payambar aa.ii

yaa'nii mahbuub ke mahbuub kii chaadar aa.ii
faatima ke gul-e-gulshan pe tasadduq ho kar
Gaus-ul-aa’zam bahaaro.n se guzar kar aa.ii
dar-e-mahbuub-e-ilaahii kii balaa.e.n le kar
nisbat-e-daaman-e-miinaa se mo'attar aa.ii
shaah farruKH ne kaleja se lagaayaa jis ko
shaah ahmad ke liye nuur kii chaadar aa.ii
ye vo dar hai ki farishto.n kaa guzar mushkil hai
ye vo chaadar hai jo 'saaGar' mire sar par aa.ii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.