bhalā santan kā sañg
khāve nij bodhan kī bhañg
sadā ānand mo dañg
aisā malañg faqīr
gyaan ke maidān khaDe
sham-dām se aan laDhe
bahotāñ ke taḳht chaDhe
aisā malañg faqīr
kiyā santan kā dumāl
merā luTā bahū janjāl
aisā 'eknāth' kañgāl
aisā malañg faqīr
bhala santan ka sang
khawe nij bodhan ki bhang
sada aanand mo dang
aisa malang faqir
gyan ke maidan khaDe
sham-dam se aan laDhe
bahotan ke taKHt chaDhe
aisa malang faqir
kiya santan ka dumal
mera luTa bahu janjal
aisa 'eknath' kangal
aisa malang faqir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.