Sufinama

qissa parhez-gar-o-shaitan

Ali Rehmati

qissa parhez-gar-o-shaitan

Ali Rehmati

MORE BYAli Rehmati

    kahūñ ek nasīhat ajab ḳhūb-tar

    pahle pand suno jiiv kaan dhar

    bure kuuñ pahle pand suuñ kyā ḳhabar

    gadhā kyā būjhe za.afrān qadar

    jo koī mard-e-dil-e-pāk aḳhlāq hai

    so is paak bātāñ mushtāq hai

    jo koī ḳhuub pārakh meñ purkār hai

    so is gauharāñ ḳharīdār hai

    jo koī asal gauhar meñ kuch ḳhuub haiñ

    use pand gauhar te ap-rūp hai

    duniyā jitā maal aur gauhar

    balā duur is pand dil par

    yo bin mol gauhar ke jis naañv pand

    tuje muft detā huuñ rakh jiv jatan

    nādir hunar suuñ karegā agar

    phatthar kuuñ sonā hor sone kuuñ phatthar

    kahun ek nasihat ajab KHub-tar

    pahle pand suno jiw ki kan dhar

    bure kun pahle pand sun kya KHabar

    gadha kya bujhe zafran ki qadar

    jo koi mard-e-dil-e-pak aKHlaq hai

    so is pak baatan ka mushtaq hai

    jo koi KHub parakh mein purkar hai

    so is gauharan ka KHaridar hai

    jo koi asal gauhar mein kuch KHub hain

    use pand gauhar te ap-rup hai

    duniya ka jita mal aur gauhar

    bala dur is pand dil par

    yo bin mol gauhar ke jis nanw pand

    tuje muft deta hun rakh jiw jatan

    tu nadir hunar sun karega agar

    phatthar kun sona hor sone kun phatthar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now