ashraf ke aa ja guru nizamuddin ke lal
Interesting Fact
بعد زیارت مزار حضرت اخی سراج قدس سرہٗ یہ دوہرے لکھے گیے۔
ashraf ke aa jā guru nizāmuddīn ke laal
aḳhī sirāj dayā se apne kar do mohe nihāl
duur des se aa.ī arj karat kar jor
aḳhī sirāj kirpā karo ki aasā puuje mor
case hamāre uujre aur man bha.e syaam hamār
ek najariyā dekh lo mor hue nistār
mansā man kī pur karo rākho tumrī aas
aise dvāre aa.ike kaise jā.ūñ nirās
maiñ be-sudh bha.ī bāvrī ga.ī raah meñ soy
Thag haT maar phirat chahūñ or ugāvat morī hoy
maat pitā bhaa.ī aur beTā nā ko.ū sañg diin
apnī apnī ghaat maañ joban chāhā kiin
naañ kab.hūñ aa.ī ga.ī aur naañ hī dekhā panth
binā siñgār kaise chalūñ mohe bulāvat kañth
laaj kī maarī marat huuñ kuchh gun moh maañ naañh
kaise un ke ghar chalūñ jin baare gah lī baañh
naañ kuchh milā na sañg chalā ye jhūTā sansār
chalī piyā ke des ko do.ū haath pasār
beTā beTī dekh ke jin jaayo baurāy
chaar dinā ke miit haiñ nā ko.ū sañg jaaye
aao 'ashrafī' baiTh jā ashraf ke darbār
sab mansā man kī mile jo chāhe kartār
duniyā meñ aise phire jais phirat parkār
mil jā pyāre mil jā morā ujyārā rahat malīn
jā din maiñ pyāse milūñ dhan dādan kā bhaag
dhyān pāran do.ū morā un hī ke sañg laag
dekh 'ashrafī' soch ke do.ū nain pasār
jag meñ ko.ū aapan nahīñ jhūTā hai sansār
ashraf ke aa ja guru nizamuddin ke lal
aKHi siraj daya se apne kar do mohe nihaal
dur des se aai arj karat kar jor
aKHi siraj kirpa karo ki aasa puje mor
case hamare ujre aur man bhae syam hamar
ek najariya dekh lo mor hue nistar
mansa man ki pur karo rakho tumri aas
aise dware aaike kaise jaun niras
main be-sudh bhai bawri gai rah mein soy
Thag haT mar phirat chahun or ugawat mori hoy
mat pita bhai aur beTa na kou sang din
apni apni ghat man joban chaha kin
nan kabhun aai gai aur nan hi dekha panth
bina singar kaise chalun mohe bulawat kanth
laj ki mari marat hun kuchh gun moh man nanh
kaise un ke ghar chalun jin bare gah li banh
nan kuchh mila na sang chala ye jhuTa sansar
chali piya ke des ko dou hath pasar
beTa beTi dekh ke jin jayo bauray
chaar dina ke mit hain na kou sang jaye
aao 'ashrafi' baiTh ja ashraf ke darbar
sab mansa man ki mile jo chahe kartar
duniya mein aise phire jais phirat parkar
mil ja pyare mil ja mora ujyara rahat malin
ja din main pyase milun dhan dadan ka bhag
dhyan paran dou mora un hi ke sang lag
dekh 'ashrafi' soch ke dou nain pasar
jag mein kou aapan nahin jhuTa hai sansar
- Book : Tahaif-e-Ashrafi (Pg. 128)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.