ai rii sakhii kyaa mai.n to-ko bataa.uu.n rog lagaa vah tan-man ko

Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
ai rii sakhii kyaa mai.n to-ko bataa.uu.n rog lagaa vah tan-man ko
priit me.n TuuTe a.ng-a.ng moraa kaise bataa.uu.n saajan ko
priit ne aisaa jaaduu jagaayo diin-o-dharam sab mo-ko bhulaayo
nas-nas bole piyaa piyaa ab kaahe pukaaruu.n bhagvan ko
bhagvan ne bairaagii banaayo dar-dar mohe yuu.n hii phiraayo
balihaarii mai.n apne guruu ke charan lagaayo jogan ko
chaa.nd saa mukh.Daa us ne dikhaa kar phir nainaa.n ke baan chalaa kar
sa.variyaa ne biich-bajariyaa luuT liyo bas nirdhan ko
apne haatho.n meh.ndii lagaa.ii maa.ng bhii mai.n ne dekho sajaa.ii
aa.e piyaa ghar rim-jhim barse jaa.o bataa do saavan ko
kaisaa din aur kyaa hai raat des-bides kii hai kyaa baat
jab bhii dekhat huu.n mai.n 'kaavish' paas hii paa.uu.n saajan ko

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.