aahe.n na bharii.n shikve na kiye kuchh bhii na zabaa.n se kaam liyaa

Nakhshab Jarchawi
MORE BYNakhshab Jarchawi
aahe.n na bharii.n shikve na kiye kuchh bhii na zabaa.n se kaam liyaa
us par bhii mohabbat chhup na sakii jab teraa kisii ne naam liyaa
ham dil ko paka.D kar baiTh ga.e haatho.n se kaleja thaam liyaa
puuchhaa jo kisii ne haal-e-dil kuchh kah na sake kuchh kah bhii ga.e
roke to bahut aa.nsuu lekin kuchh ruk bhii ga.e kuchh bah bhii ga.e
afsaana kahaa aur lab na hile aa.nkho.n se zabaa.n kaa kaam liyaa
roke se bhalaa kyaa dil ruktaa duniyaa ko ta.Dap kar ta.Dpaanaa
sach pūchhiye vo to KHair hu.ii mahfil me.n tamaashaa ban jaataa
kuchh aap adaa.e.n rok ga.e kuchh zabt se ham ne kaam liyaa
go laakh tumhaare zulm sahe par aa.nkh se aa.nsuu bah na sakaa
biimaar-e-mohabbat ai 'naKHshab' kuchh aur to mu.nh se kah na sakaa
ik ThanDii sii lambii aah bharii chupke se kisii kaa naam liyaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.