nabiyo.n ke sardaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
haamil-e-sad asraar-e-mohammad
aa.iina-e-anvaar-e-mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
allaah allaah jazb-e-mohabbat
KHud hai KHudaa ko diid kii hasrat
KHaaliq ke dildaar mohammad
KHaaliq ke dildaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
KHulq-e-mujassam rahmat-e-kaamil
ho ga.ii aasaa.n us kii mushkil
jis ne kahaa ik baar mohammad
jis ne kahaa ik baar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
dard-e-mohabbat nek iraade
haq se liye baKHshish ke vaa'de
ummat ke Gam-KHvaar mohammad
ummat ke Gam-KHvaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
bahr-e-havaadis ziist badaamaa.n
kaisii mauje.n kaisaa tuufaa.n
nayyaa khevan-haar mohammad
nayyaa khevan-haar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
qaate’-e-hijraa.n ban kar aa.o
dard kaa darmaa.n ban kar aa.o
jiinaa hai dushvaar mohammad
jiinaa hai dushvaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
ruKH pe 'shakiil' ik nuur huvaidaa
aa.nkh me.n hai taiba kaa naqsha
dil hai tiraa darbaar mohammad
dil hai tiraa darbaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
haamil-e-sad asraar-e-mohammad
aa.iina-e-anvaar-e-mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
allaah allaah jazb-e-mohabbat
KHud hai KHudaa ko diid kii hasrat
KHaaliq ke dildaar mohammad
KHaaliq ke dildaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
KHulq-e-mujassam rahmat-e-kaamil
ho ga.ii aasaa.n us kii mushkil
jis ne kahaa ik baar mohammad
jis ne kahaa ik baar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
dard-e-mohabbat nek iraade
haq se liye baKHshish ke vaa'de
ummat ke Gam-KHvaar mohammad
ummat ke Gam-KHvaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
bahr-e-havaadis ziist badaamaa.n
kaisii mauje.n kaisaa tuufaa.n
nayyaa khevan-haar mohammad
nayyaa khevan-haar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
qaate’-e-hijraa.n ban kar aa.o
dard kaa darmaa.n ban kar aa.o
jiinaa hai dushvaar mohammad
jiinaa hai dushvaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
ruKH pe 'shakiil' ik nuur huvaidaa
aa.nkh me.n hai taiba kaa naqsha
dil hai tiraa darbaar mohammad
dil hai tiraa darbaar mohammad
nabiyo.n ke sardaar mohammad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.