Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jiivan nayyaa paar utaar

Tufail Hoshiarpuri

jiivan nayyaa paar utaar

Tufail Hoshiarpuri

MORE BYTufail Hoshiarpuri

    jiivan nayyaa paar utaar

    o matvaale khevanhaar

    lahar lahar me.n bha.nvar chhupaa.e har suu maut kii dhun lahraa.e

    jis ko tuu samjhe malhaar

    o matvaale khevanhaar

    jin ko tuu jal-pariyaa.n jaane man samjhaa.e to nahii.n maane

    kuchh to soch vichaar

    o matvaale khevanhaar

    jiivan saagar ke nazzaare manhar manhar pyaare pyaare

    ik dhokaa hai un kaa pyaar

    o matvaale khevanhaar

    maut kaa bhayaanak tuufaa.n agar saa.ns kii Dorii to.D na jaa.e

    paraan kaa panchhii chho.D na jaaye jiivan nayyaa ke patvaar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now