Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

terii ulfat me.n sanam dil ne bahut dard sahe

Tufail Hoshiarpuri

MORE BYTufail Hoshiarpuri

    terii ulfat me.n sanam dil ne bahut dard sahe

    Gam hame.n luuT gayaa haa.e dil TuuT gayaa

    phir bhii aa.nsuu na bahe aur ham chup hii rahe

    ham ne milte hii nazar dil diyaa nazraana tujhe

    pyaar se pyaar bharaa kah diyaa afsaana tujhe

    tujh se paayaa ye sila dard duniyaa kaa milaa

    Gam zamaane ke sahe aur ham chup hii rahe

    aag siine me.n lagii aisii ki niklaa na dhu.aa.n

    kis tarah jal gayaa dil dil hai na ab dil kaa nishaa.n

    is qadar zabt kiyaa ham ne har ashk piyaa

    dil me.n armaan rahe aur ham chup hii rahe

    fasl-e-gul aa bhii chukii aas ke Gunche na khile

    faasle ba.Dhte ga.e mil ke bhii do dil na mile

    ban ke har naqsh miTaa qaafila dil kaa luTaa

    ashk tham-tham ke bahe aur ham chup hii rahe

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nahid Akhtar

    Nahid Akhtar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now