Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aa terī galī meñ mar gae hum

Meer Muhammad Bedar

aa terī galī meñ mar gae hum

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    aa terī galī meñ mar ga.e ham

    manzūr jo thā so kar ga.e ham

    tujh bin gulshan meñ gar ga.e ham

    juuñ shabnam chashm-tar ga.e ham

    paate nahīñ aap ko kahīñ yaañ

    hairān haiñ kis ke ghar ga.e ham

    us ā.īna-rū ke ho muqābil

    ma.alūm nahīñ kidhar ga.e ham

    go bazm meñ ham se vo na bolā

    bāteñ āñkhoñ meñ kar ga.e ham

    juuñ sham.a us anjuman se 'bedār'

    le dāġh-e-dil-o-jigar ga.e ham

    aa terī galī meñ mar gae hum

    manzūr jo thā so kar gae hum

    tujh bin gulshan meñ gar gae hum

    juñ shabnam chashm-tar gae hum

    pate nahīñ aap ko kahīñ yañ

    hairān haiñ kis ke ghar gae hum

    us āīna-rū ke ho muqābil

    malūm nahīñ kidhar gae hum

    go bazm meñ hum se wo na bolā

    bāteñ āñkhoñ meñ kar gae hum

    juñ shama us anjuman se 'bedār'

    le dāġh-e-dil-o-jigar gae hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now