Sufinama

aah dil ko be-tarah sulga gaya

Khwaja Ruknuddin Ishq

aah dil ko be-tarah sulga gaya

Khwaja Ruknuddin Ishq

MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq

    aah dil ko be-tarah sulgā gayā

    kuchh chhalāvā mujhe dikhlā gayā

    aah bas ab rahm kar ḳhalq par

    dūd-e-dil se āsmāñ to chhā gayā

    yak-ba-yak tujh ko jo vahshat aa ga.ī

    kis āñkhoñ tasavvur aa gayā

    muñh phirā mujh se jo vo hañsne lagā

    baat us baat meñ maiñ gayā

    kar nigāh-e-karam vo jaatā rahā

    aag siina meñ mire sulgā gayā

    'ishq' jaldī se pahuñch fariyād ko

    dil ke hāthoñ se to maiñ ghabrā gayā

    aah dil ko be-tarah sulga gaya

    kuchh chhalawa sa mujhe dikhla gaya

    aah bas ab rahm kar tu KHalq par

    dud-e-dil se aasman to chha gaya

    yak-ba-yak tujh ko jo wahshat aa gai

    kis ki aankhon ka tasawwur aa gaya

    munh phira mujh se jo wo hansne laga

    baat us ki baat mein main pa gaya

    kar nigah-e-karam wo jata raha

    aag sina mein mere sulga gaya

    'ishq' jaldi se pahunch fariyaad ko

    dil ke hathon se to main ghabra gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now