koi aisa bahana chahta hun
koī aisā bahāna chāhtā huuñ
maiñ tere paas aanā chāhtā huuñ
nishāne par tire phir aa gayā huuñ
muqaddar āzmānā chāhtā huuñ
kirā.e par tire dil meñ rahūñ kyuuñ
yahāñ haqq-e-mālikāna chāhtā huuñ
rag-e-jāñ kāTte ho kis liye tum
maiñ to bas āb-o-dāna chāhtā huuñ
tumheñ īmāñ mubārak shaiḳh maiñ to
fizā-e-kāfirāna chāhtā huuñ
suhūlat itnī ho kī saañs le luuñ
kahāñ maiñ chahchahānā chāhtā huuñ
koi aisa bahana chahta hun
main tere pas aana chahta hun
nishane par tere phir aa gaya hun
muqaddar aazmana chahta hun
kirae par tere dil mein rahun kyun
yahan haqq-e-malikana chahta hun
rag-e-jaan kaTte ho kis liye tum
main to bas aab-o-dana chahta hun
tumhein iman mubarak shaiKH main to
fiza-e-kafirana chahta hun
suhulat itni ho ki sans le lun
kahan main chahchahana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.