wo nazar jis pe Dal dete hain
vo nazar jis pe Daal dete haiñ
mushkiloñ se nikāl dete haiñ
baiTh kar ek-ek ke dil meñ
kaise-kaise savāl dete haiñ
dekh kar haath pher kar maulā
mushkileñ saarī Taal dete haiñ
vo banāte haiñ jis ko bhī apnā
'ishq us ko kamāl dete haiñ
mujh ko dīvāna karke logoñ ko
qais kī yuuñ misāl dete haiñ
kHuub lailā hai un kī jis ko bhī
ho miTānā sambhāl dete haiñ
ḳhvāb meñ hī sahī magar 'āmir'
hijr meñ bhī visāl dete haiñ
wo nazar jis pe Dal dete hain
mushkilon se nikal dete hain
baiTh kar ek-ek ke dil mein
kaise-kaise sawal dete hain
dekh kar hath pher kar maula
mushkilen sari Tal dete hain
wo banate hain jis ko bhi apna
'ishq us ko kamal dete hain
mujh ko diwana karke logon ko
qais ki yun misal dete hain
kHub laila hai un ki jis ko bhi
ho miTana sambhaal dete hain
KHwab mein hi sahi magar 'amir'
hijr mein bhi visal dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.