ishq mein kya hain mafadat tumhein kya malum
'ishq meñ kyā haiñ mafādāt tumheñ kyā mā'lūm
haiñ judā us kī rivāyāt tumheñ kyā mā'lūm
koī 'āshiq kabhī jiitā hī nahīñ ulfat meñ
us meñ miltī hai sadā maat tumheñ kyā mā'lūm
aa ke nazdīk mire duur vo hotā hī rahā
vo milan aur mulāqāt tumheñ kyā mā'lūm
kī adā farsh pe dariyāoñ pe sarsar meñ namāz
'ishq vāloñ kī karāmāt tumheñ kyā mā'lūm
'ishq mein kya hain mafadat tumhein kya ma'lum
hain juda us ki riwayat tumhein kya ma'lum
koi 'ashiq kabhi jita hi nahin ulfat mein
us mein milti hai sada mat tumhein kya ma'lum
aa ke nazdik mere dur wo hota hi raha
wo milan aur mulaqat tumhein kya ma'lum
ki ada farsh pe dariyaon pe sarsar mein namaz
'ishq walon ki karamat tumhein kya ma'lum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.