baiThe hue hain rah mein tufan liye hue
baiThe hue haiñ raah meñ tūfāñ liye hue
ham dil meñ ek shahr-e-bayābāñ liye hue
saaqī bas ek chashm-e-’ināyat kī baat hai
saaqī azal se baiThe haiñ paimāñ liye hue
kyuuñ aaj lag rahī huuñ maiñ ḳhud ko bahut 'ajīb
kyuuñ phir rahī huuñ ḳhaak kā sāmāñ liye hue
chhoḌā hai maiñ ne dāman-e-yārān-e-bā-vafā
āñkhoñ meñ ashk dil ko pareshāñ liye hue
tū hai ki terā kHauf-e-amal kam nahīñ huā
maiñ huuñ ki saarī mushkileñ āsāñ liye hue
baiThe hue hain rah mein tufan liye hue
hum dil mein ek shahr-e-bayaban liye hue
saqi bas ek chashm-e-’inayat ki baat hai
saqi azal se baiThe hain paiman liye hue
kyun aaj lag rahi hun main KHud ko bahut 'ajib
kyun phir rahi hun KHak ka saman liye hue
chhoDa hai main ne daman-e-yaran-e-ba-wafa
aankhon mein ashk dil ko pareshan liye hue
tu hai ki tera kHauf-e-amal kam nahin hua
main hun ki sari mushkilen aasan liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.