aadmi ka KHarab ho jaana
aadmī kā ḳharāb ho jaanā
yā'nī ’izzat-ma.āb ho jaanā
phir sukūñ dastiyāb karatā hai
dard kā be-hisāb ho jaanā
maiñ ne dekhā hai 'ishq meñ aksar
ḳhaar kā bhī gulāb ho jaanā
māntā hī nahīñ hai dil merā
terā milnā 'azāb ho jaanā
terī āñkhoñ ko paḌhnā chāhūñ maiñ
merī ḳhātir kitāb ho jaanā
qābil-e-dīd hai mirī ḳhātir
ye tumhārā sahāb ho jaanā
aadmi ka KHarab ho jaana
ya'ni ’izzat-maab ho jaana
phir sukun dastiyab karata hai
dard ka be-hisab ho jaana
main ne dekha hai 'ishq mein aksar
KHar ka bhi gulab ho jaana
manta hi nahin hai dil mera
tera milna 'azab ho jaana
teri aankhon ko paDhna chahun main
meri KHatir kitab ho jaana
qabil-e-did hai meri KHatir
ye tumhaara sahab ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.