KHamosh hi rahte hain shikayat nahin karte
ḳhāmosh hī rahte haiñ shikāyat nahīñ karte
aañsū ye mire mujh se baġhāvat nahīñ karte
bas mashvara dete haiñ tujhe tark-e-vafā kā
ai dost kabhī tujh se raqābat nahīñ karte
ham ek alag saf meñ khaḌe hote haiñ lekin
ham jhūTe imāmoñ kī itā'at nahīñ karte
karte haiñ tirā zikr tajarrud meñ hamesha
ham log mohabbat kī ishā.at nahīñ karte
din raat taḌapte haiñ ham ik diid ko hamdam
kyuuñ ham pe tum itnī bhī 'ināyat nahīñ karte
KHamosh hi rahte hain shikayat nahin karte
aansu ye mere mujh se baghawat nahin karte
bas mashwara dete hain tujhe tark-e-wafa ka
ai dost kabhi tujh se raqabat nahin karte
hum ek alag saf mein khaDe hote hain lekin
hum jhuTe imamon ki ita'at nahin karte
karte hain tera zikr tajarrud mein hamesha
hum log mohabbat ki ishaat nahin karte
din raat taDapte hain hum ek did ko hamdam
kyun hum pe tum itni bhi 'inayat nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.