had se baDh jati hai ghami aksar
had se baḌh jaatī hai ġhamī aksar
raas aatī nahīñ ḳhushī aksar
baat aatī hai jab vafāoñ kī
yaad aatī hai aap kī aksar
'ishq se jañg meñ ye dekhā hai
haar jaatī hai zindagī aksar
hoñT har pal hī muskurāte haiñ
rahtī hai aañkh meñ namī aksar
mere maġhmūm dil ko dekh ‘amal’
kāTtī hai tirī kamī aksar
had se baDh jati hai ghami aksar
ras aati nahin KHushi aksar
baat aati hai jab wafaon ki
yaad aatī hai aap ki aksar
'ishq se jang mein ye dekha hai
haar jati hai zindagi aksar
honT har pal hi muskuraate hain
rahti hai aankh mein nami aksar
mere maghmum dil ko dekh ‘amal’
kaTti hai teri kami aksar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.