aankhen auron se gar laDaiyega
āñkheñ auroñ se gar laḌā.iyegā
jiite jī phir hameñ na pā.iyegā
sar salāmat rahe muhibboñ kā
apnī shamshīr āzmā.iyegā
chhup ke 'ālam se yaar misl-e-ḳhayāl
kabhī dil meñ hamāre ā.iyegā
mar ga.e zindagī tire hāthoñ
us ko kis taur muñh dikhā.iyegā
hashr barpā kareñge dīvāne
un kī zanjīr mat hilā.iyegā
she'r kā jis makāñ meñ charchā ho
ġhazal 'ishq' paḌh sunā.iyegā
aankhen auron se gar laDaiyega
jite ji phir hamein na paiyega
sar salamat rahe muhibbon ka
apni shamshir aazmaiyega
chhup ke 'alam se yar misl-e-KHayal
kabhi dil mein hamare aaiyega
mar gae zindagi tere hathon
us ko kis taur munh dikhaiyega
hashr barpa karenge diwane
un ki zanjir mat hilaiyega
she'r ka jis makan mein charcha ho
ghazal 'ishq' paDh sunaiyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.