Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aankhon ka tha qusur na dil ka qusur tha

Jigar Moradabadi

aankhon ka tha qusur na dil ka qusur tha

Jigar Moradabadi

MORE BYJigar Moradabadi

    āñkhoñ thā qusūr na dil qusūr thā

    aayā jo mere sāmne merā ġhurūr thā

    tārīk misl-e-āh jo āñkhoñ nuur thā

    kyā sub.h se shām-e-balā zuhūr thā

    vo the na mujh se duur na maiñ un se duur thā

    aatā na thā nazar to nazar qusūr thā

    har vaqt ik ḳhumār thā har dam surūr thā

    botal baġhal meñ thī ki dil-e-nā-subūr thā

    koī to dardmand-e-dil-e-nā-subūr thā

    maanā ki tum na the koī tum zarūr thā

    lagte Thes TuuT gayā sāz-e-ārzū

    milte aañkh shīsha-e-dil chuur chuur thā

    aisā kahāñ bahār meñ rañgīniyoñ josh

    shāmil kisī ḳhūn-e-tamannā zarūr thā

    saaqī chashm-e-mast kyā kījiye bayān

    itnā surūr thā ki mujhe bhī surūr thā

    palTī jo rāste se ai āh-e-nā-murād

    ye to batā ki bāb-e-asar kitnī duur thā

    jis dil ko tum ne lutf se apnā banā liyā

    us dil meñ ik chhupā huā nashtar zarūr thā

    us chashm-e-mai-farosh se koī na bach sakā

    sab ko ba-qadr-e-hausla-e-dil surūr thā

    dekhā thā kal 'jigar' ko sar-e-rāh-e-mai-kada

    is darja gayā thā ki nashshe meñ chuur thā

    aankhon ka tha qusur na dil ka qusur tha

    aaya jo mere samne mera ghurur tha

    tarik misl-e-ah jo aankhon ka nur tha

    kya subh hi se sham-e-bala ka zuhur tha

    wo the na mujh se dur na main un se dur tha

    aata na tha nazar to nazar ka qusur tha

    har waqt ek KHumar tha har dam surur tha

    botal baghal mein thi ki dil-e-na-subur tha

    koi to dardmand-e-dil-e-na-subur tha

    mana ki tum na the koi tum sa zarur tha

    lagte hi Thes TuT gaya saz-e-arzu

    milte hi aankh shisha-e-dil chur chur tha

    aisa kahan bahaar mein ranginiyon ka josh

    shamil kisi ka KHun-e-tamanna zarur tha

    saqi ki chashm-e-mast ka kya kijiye bayan

    itna surur tha ki mujhe bhi surur tha

    palTi jo raste hi se ai aah-e-na-murad

    ye to bata ki bab-e-asar kitni dur tha

    jis dil ko tum ne lutf se apna bana liya

    us dil mein ek chhupa hua nashtar zarur tha

    us chashm-e-mai-farosh se koi na bach saka

    sab ko ba-qadr-e-hausla-e-dil surur tha

    dekha tha kal 'jigar' ko sar-e-rah-e-mai-kada

    is darja pi gaya tha ki nashshe mein chur tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now