aankhon ko teri dekhenge mai-KHana kahenge
aankhon ko teri dekhenge mai-KHana kahenge
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
āñkhoñ ko tirī dekheñge mai-ḳhāna kaheñge
hoñToñ se agar pūchhoge paimāna kaheñge
mauqūf faqat ham pe nahīñ yaar ise sun
jo tujh se milegā use dīvāna kaheñge
vābasta tirī zaat se bastī hai jahāñ kī
jab tū na huā ḳhalq meñ vīrāna kaheñge
marne se tire Dar ke kahīñ raaz ko apne
is baat pe martā hai to mar jā na kaheñge
badnāmī-e-rozāna hai shab-bāshī-e-be-jā
kahnī thī jo kuchh kah chuke samjhā na kaheñge
ye baat jo hai aaj dam-e-naqd-e-’azīzāñ
is 'ishq' ko sunte ho kal afsāna kaheñge
aankhon ko teri dekhenge mai-KHana kahenge
honTon se agar puchhoge paimana kahenge
mauquf faqat hum pe nahin yar ise sun
jo tujh se milega use diwana kahenge
wabasta teri zat se basti hai jahan ki
jab tu na hua KHalq mein virana kahenge
marne se tere Dar ke kahin raaz ko apne
is baat pe marta hai to mar ja na kahenge
badnami-e-rozana hai shab-bashi-e-be-ja
kahni thi jo kuchh kah chuke samjha na kahenge
ye baat jo hai aaj dam-e-naqd-e-’azizan
is 'ishq' ko sunte ho kal afsana kahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.