tapish dil mein na rahi sozish-e-jaan baqi hai
tapish dil meñ na rahī sozish-e-jāñ baaqī hai
sho'la-e-ishq kahāñ sirf dhuāñ baaqī hai
mai-kasho gardish-e-daurāñ hai hirāsāñ kyuuñ ho
sar-e-mai-ḳhāna abhī abr-e-ravāñ baaqī hai
zikr aatā hai jafāon kā tire zikr ke saath
dil-e-barbād kā itnā to nishāñ baaqī hai
muddateñ ho ga.iiñ paimān-e-vafā ko TuuTe
us jafā-jū se magar rabt-e-nihāñ baaqī hai
manzil-e-tark tamannā hai janāb-e-'ārif'
dil meñ ab bhī havas lāla-ruḳhāñ baaqī hai
tapish dil mein na rahi sozish-e-jaan baqi hai
sho'la-e-ishq kahan sirf dhuan baqi hai
mai-kasho gardish-e-dauran hai hirasan kyun ho
sar-e-mai-KHana abhi abr-e-rawan baqi hai
zikr aata hai jafaon ka tere zikr ke sath
dil-e-barbaad ka itna to nishan baqi hai
muddaten ho gain paiman-e-wafa ko TuTe
us jafa-ju se magar rabt-e-nihan baqi hai
manzil-e-tark tamanna hai janab-e-'arif'
dil mein ab bhi hawas lala-ruKHan baqi hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 213)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.