phunk kar maine aashiyane ko
phūñk kar maiñ ne āshiyāne ko
raushnī baḳhsh dī zamāne ko
vo tirā ġham thā jo sañvār gayā
zindagī ke nigār-ḳhāne ko
jis kī dīvāngī ho nāz-e-ḳhirad
kaun samjhā.e us divāne ko
kuchh hijābāt uTh ga.e 'ārif'
kuchh hijābāt haiñ uThāne ko
phunk kar main ne aashiyane ko
raushni baKHsh di zamane ko
wo tera gham tha jo sanwar gaya
zindagi ke nigar-KHane ko
jis ki diwangi ho naz-e-KHirad
kaun samjhae us diwane ko
kuchh hijabaat uTh gae 'arif'
kuchh hijabaat hain uThane ko
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 214)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.