kya bari hai aashnai ishq ki
kyā barī hai āshnā.ī 'ishq kī
ḳhuub ham ne baat paa.ī 'ishq kī
silsila jumbān-e-kākul kaun thā
kis ne zanjīreñ hilā.ī 'ishq kī
dil hamārā purza-purza ho gayā
ḳhuub ham ne choT khaa.ī 'ishq kī
daaġh siine meñ jo raushan hai mire
aag hai dil meñ lagā.ī 'ishq kī
abjad āmoz-e-mohabbat meñ rahā
baat ab tak kuchh na paa.ī 'ishq kī
mutriba 'ārif miyāñ 'āshiq hue
maañg un se tū badhā.ī 'ishq kī
kya bari hai aashnai 'ishq ki
KHub hum ne baat pai 'ishq ki
silsila jumban-e-kakul kaun tha
kis ne zanjiren hilai 'ishq ki
dil hamara purza-purza ho gaya
KHub hum ne choT khai 'ishq ki
dagh sine mein jo raushan hai mere
aag hai dil mein lagai 'ishq ki
abjad aamoz-e-mohabbat mein raha
baat ab tak kuchh na pai 'ishq ki
mutriba 'arif miyan 'ashiq hue
mang un se tu badhai 'ishq ki
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 54)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.