Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

parwaz karte be-sar-o-saman kamar-kamar

Aarif Phulwarwi

parwaz karte be-sar-o-saman kamar-kamar

Aarif Phulwarwi

MORE BYAarif Phulwarwi

    parvāz karte be-sar-o-sāmāñ kamar-kamar

    hotā agar hisār-e-gulistāñ kamar-kamar

    gul jagah haiñ sumbul-o-raihāñ kamar-kamar

    kyūñkar na pahuñche mo.e pareshāñ kamar kamar

    ḳhūñ-rezī subū meñ haiñ sargarm-e-mai-kashāñ

    mānind-e-gul chune hue dāmāñ kamar-kamar

    kaafī hai ḳhaak tūda-e-dil mashq-e-tīr ko

    kyā kījiyegā reg-e-bayābāñ kamar-kamar

    mānind-e-sarv-e-halqa-e-aġhyār meñ hai yaar

    chāroñ taraf hai ḳhār-e-muġhīlāñ kamar-kamar

    ḳhūn-e-jigar jo dīda-e-tar se bahā kareñ

    ambār hue lā'l-e-badaḳhshāñ kamar-kamar

    jazb-e-kamand shauq se kyūñkar khiche na dil

    kholā hai us ne kākul-e-pechāñ kamar-kamar

    gar daam le dīda-e-shā.iq ko bāġhbāñ

    barse chaman meñ abr-e-bahārāñ kamar-kamar

    parwaz karte be-sar-o-saman kamar-kamar

    hota agar hisar-e-gulistan kamar-kamar

    gul ki jagah hain sumbul-o-raihan kamar-kamar

    kyunkar na pahunche moe pareshan kamar kamar

    KHun-rezi subu mein hain sargarm-e-mai-kashan

    manind-e-gul chune hue daman kamar-kamar

    kafi hai KHak tuda-e-dil mashq-e-tir ko

    kya kijiyega reg-e-bayaban kamar-kamar

    manind-e-sarw-e-halqa-e-aghyar mein hai yar

    chaaron taraf hai KHar-e-mughilan kamar-kamar

    KHun-e-jigar jo dida-e-tar se baha karen

    ambar hue la'l-e-badaKHshan kamar-kamar

    jazb-e-kamand shauq se kyunkar khiche na dil

    khola hai us ne kakul-e-pechan kamar-kamar

    gar dam le dida-e-shaiq ko baghban

    barse chaman mein abr-e-bahaaran kamar-kamar

    Source :
    • Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 56)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now