dil hua KHun to muddaa samjhe
dil huā ḳhuuñ to mudda'ā samjhe
ḳhuuñ ro.e to ḳhūñ-bahā samjhe
us kī gardan se sar judā rahe
jo tire dar se sar judā samjhe
nāla-e-be-sadā nahīñ sunte
is qadar ham ko be-navā samjhe
faḳhr ho ham se ḳhāksāroñ ko
sag-e-jānā jo ḳhāk-e-pā samjhe
chashm-e-bad-dūr duur nargis par
jām-e-jam ko ham fidā samjhe
ḳhaak apnī thī ashk se ḳhushk-tar
us ko kyā ḳhāk-e-karbalā samjhe
ḳhat na thā donoñ mahzar-e-ḳhūñ thā
ḳhuuñ ba-fatvā na kyuuñ ravā samjhe
vo dil dāġh-dār thā 'shā.eq'
jis ko ham bāġh-e-dil-kashā samjhe
dil hua KHun to mudda'a samjhe
KHun roe to KHun-baha samjhe
us ki gardan se sar juda rahe
jo tere dar se sar juda samjhe
nala-e-be-sada nahin sunte
is qadar hum ko be-nawa samjhe
faKHr ho hum se KHaksaron ko
sag-e-jaana jo KHak-e-pa samjhe
chashm-e-bad-dur dur nargis par
jam-e-jam ko hum fida samjhe
KHak apni thi ashk se KHushk-tar
us ko kya KHak-e-karbala samjhe
KHat na tha donon mahzar-e-KHun tha
KHun ba-fatwa na kyun rawa samjhe
wo dil dagh-dar tha 'shaeq'
jis ko hum bagh-e-dil-kasha samjhe
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.