husn se sharh huī 'ishq ke afsāne kī
sham.a lau de ke zabāñ ban ga.ī parvāne kī
shaan bastī se nahīñ kam mire vīrāne kī
ruuh har boñDle meñ hai kisī dīvāne kī
āmad-e-mausam-e-gul kī hai ḳhabar daur-e-digar
tāzgī chāhiye kuchh sāḳht meñ paimāne kī
aa.ī hai kaaT ke mī’ād-e-asīrī kī bahār
hatkaḌī khul ke girī jaatī hai dīvāne kī
sard ai sham.a na ho garmi-e-bāzār-e-jamāl
phūñk de ruuh na.ī laash meñ parvāne kī
uTh khaḌā ho to bagūlā hai jo baiThe to ġhubār
ḳhaak ho kar bhī vahī shaan hai dīvāne kī
'ārzū' ḳhatm haqīqat pe huā duur majāz
Daalī ka.abe kī binā aaḌ se but-ḳhāne kī
husn se sharh hui 'ishq ke afsane ki
shama lau de ke zaban ban gai parwane ki
shan basti se nahin kam mere virane ki
ruh har bonDle mein hai kisi diwane ki
aamad-e-mausam-e-gul ki hai KHabar daur-e-digar
tazgi chahiye kuchh saKHt mein paimane ki
aai hai kaT ke mi’ad-e-asiri ki bahaar
hatkaDi khul ke giri jati hai diwane ki
sard ai shama na ho garmi-e-bazar-e-jamal
phunk de ruh nai lash mein parwane ki
uTh khaDa ho to bagula hai jo baiThe to ghubar
KHak ho kar bhi wahi shan hai diwane ki
'arzu' KHatm haqiqat pe hua dur majaz
Dali kabe ki bina aaD se but-KHane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.