Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hum aaj khaenge ek tir imtihan ke liye

Aarzu Lakhnavi

hum aaj khaenge ek tir imtihan ke liye

Aarzu Lakhnavi

MORE BYAarzu Lakhnavi

    ham aaj khā.eñge ik tiir imtihāñ ke liye

    ki vaqf karnā hai dil-e-nāz jāñ-sitāñ ke liye

    jalā ke dil ko lapak se Daro na sho.ale

    zabāñ-darāz hai lekin nahīñ fuġhāñ ke liye

    usī chaman meñ ki vus'at hai jis nā-mahdūd

    nahīñ panāh ek āshiyāñ ke liye

    kiyā thā zabt ne da.avā rāz-dār-e-'ishq

    uThā hai dard kaleje meñ imtihāñ ke liye

    kisī ko DhūñDhe na miltā nazar choT mail

    na hotā dil meñ suvaidā agar nishāñ ke liye

    sivā.e dil ke jo sarmāya-e-do 'ālam hai

    na kuchh yahāñ ke liye hai na kuchh vahāñ ke liye

    na 'ishq jurm hai koī na dil baat hai raaz

    burā ho sharm ik qufl hai zabāñ ke liye

    ḳhilāf apne rahī vaz-e’-sāz-o-barg-e-chaman

    qafas bane haiñ jo tinke the āshiyāñ ke liye

    laraz rahe haiñ falak 'ārzū' ki āh-e-rasā

    chalī hai teġh-ba-kaf fat.h-e-haft-ḳhvāñ ke liye

    hum aaj khaenge ek tir imtihan ke liye

    ki waqf karna hai dil-e-naz jaan-sitan ke liye

    jala ke dil ko lapak se Daro na shoale ki

    zaban-daraaz hai lekin nahin fughan ke liye

    usi chaman mein ki wus'at hai jis ki na-mahdud

    nahin panah ki ja ek aashiyan ke liye

    kiya tha zabt ne dawa raaz-dar-e-'ishq

    uTha hai dard kaleje mein imtihan ke liye

    kisi ko DhunDhe na milta nazar ki choT ka mail

    na hota dil mein suwaida agar nishan ke liye

    siwae dil ke jo sarmaya-e-do 'alam hai

    na kuchh yahan ke liye hai na kuchh wahan ke liye

    na 'ishq jurm hai koi na dil ki baat hai raaz

    bura ho sharm ka ek qufl hai zaban ke liye

    KHilaf apne rahi waz-e’-saz-o-barg-e-chaman

    qafas bane hain jo tinke the aashiyan ke liye

    laraz rahe hain falak 'arzu' ki aah-e-rasa

    chali hai tegh-ba-kaf fath-e-haft-KHwan ke liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now