Font by Mehr Nastaliq Web

kahan nibh saka ban ke anjaan jaana

Aarzu Lakhnavi

kahan nibh saka ban ke anjaan jaana

Aarzu Lakhnavi

kahāñ nibh sakā ban ke anjān jaanā

jhijhaknā mirā un pahchān jaanā

na lahrāte aañsū na chāhat Tapaktī

idhar aañkh milnā udhar jaan jaanā

vo āñkheñ kaTīlī haiñ chitvan nukīlī

ye jaanā bhī to ho ke anjān jaanā

jo aisā ho kyā us ko samjhā.e koī

samajhne se pahle mirā jaan jaanā

vo chāhe to phir raat ko din banā de

sikhā de jo un ko kahā maan jaanā

khule aarzū vo jo tum se to samjho

ki ik ajnabī ek anjān jaanā

kahan nibh saka ban ke anjaan jaana

jhijhakna mera un ka pahchan jaana

na lahraate aansu na chahat Tapakti

idhar aankh milna udhar jaan jaana

wo aankhen kaTili hain chitwan nukili

ye jaana bhi to ho ke anjaan jaana

jo aisa ho kya us ko samjhae koi

samajhne se pahle mera jaan jaana

wo chahe to phir raat ko din bana de

sikha de jo un ko kaha man jaana

khule aarzu wo jo tum se to samjho

ki ek ajnabi ek anjaan jaana

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now