mujhe di hai to ne ye zindagi
mujhe dī hai tū ne ye zindagī
mujhe tū ne dī hai har ik ḳhushī
tire zikr se ho zabāñ tar
yahī zikr bas ho zabāñ par
tirā 'ishq vaj.h-e-surūr hai
tirā zikr bā'is-e-nūr hai
ki koī na tujh sā karīm hai
bhalā kaun aisā rahīm hai
mujhe chāhatoñ kā samar mile
ki madīna meñ koī ghar mile
shah-e-ambiyā kī kanīz huuñ
dar-e-mustafā kī kanīz huuñ
na mahal na mujh ko makān de
mujhe ai karīm amaan de
yahī iltijā yahī 'ārzū'
mire dil meñ bas yahī justujū
tirā rahm ho mirī zaat ho
mirī roz-e-hashr najāt ho
mujhe di hai tu ne ye zindagi
mujhe tu ne di hai har ek KHushi
tere zikr se ho zaban tar
yahi zikr bas ho zaban par
tera 'ishq wajh-e-surur hai
tera zikr ba'is-e-nur hai
ki koi na tujh sa karim hai
bhala kaun aisa rahim hai
mujhe chahaton ka samar mile
ki madina mein koi ghar mile
shah-e-ambiya ki kaniz hun
dar-e-mustafa ki kaniz hun
na mahal na mujh ko makan de
mujhe ai karim aman de
yahi iltija yahi 'arzu'
mere dil mein bas yahi justuju
tera rahm ho meri zat ho
meri roz-e-hashr najat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.